मानसिक बीमारी के लक्षण Symptoms of Mental Illness #drpraveentripathi #mentalhealth

मानसिक बीमारी के लक्षण क्या होते हैं? | Mansik Rog ke lakshan Kya hain? #drpraveentripathi

Course ko join karne ke liye iss link par click karein -https://courses.mindsolves.com/courses/Depression-se-bahar-kaise-aaye—Using-CBT-techniques-Copy-65339829e4b0987722578c19

Depression course: Depression se bahar nikalne ke liye ab aap Dr. Praveen Tripathi ka course ko join kar sakte hain jismein khud se CBT techniques (cognitive behavioral therapy) ko use Karna sikhaya jata hai.

For appointments at Renowa Care, call – 9013821178, 9818083017

is video me Dr Praveen sir baat kar rhe hain ki –
Mansik rog kya hote hain ?
Mansik rog ke lakshan kya hote hain ?
Mansik bimari ke common symptoms kya hote hai ?
Depression ke kya lakshan hote hain ?
Anxiety ke lakshan kya hote hai ?
man ki beemari ke lakshan kya hai ?
mental disorder ke symptoms kya hai?
mental disorder ke lakshan kya hain?
man ki beemari ke symptoms kya hain ?

Depression course : Depression se bahar nikalne ke liye ab aap Dr. Praveen Tripathi ka course ko join kar sakte hain jismein khud se CBT techniques (cognitive behavioural therapy) ko use karna sikhaya jata hai.
Course ko join karne ke liye iss link par click karein- https://www.drpraveentripathi.com

MANSIK ROG
Iss video me Dr. Praveen Tripathi – Mansik rog ke lakshan ke bare me bta rahe rahe hain. Mansik bimariya kya hoti hai, Mansil bimari ke lakshan kya hote hain ? In sabke jawaab iss video me diye jaayenge.
Shaareerik bimariyo ki tarah mansik bimari bhi bahut common hoti hain aur kai prakaar ki hoti hain. Mansik bimarriyon me sbse zada parichit bimari hai – Depression aur Anxiety.
Depression ek mood ka disorder hai. Depression ke lakshan (Depression ke symptoms) kuch
iss tarah ke ho skte hain jaise mann me udaasi hona, kisi kaam me mann na lagna, negative vichaar ya negative soch aana, bhook aur neend me pareshaani hona, daily life ke kaamo me mann na lagna, padhaai ya office ke kaam me mann na lagna aur sex karne ki ichaa kamm ho jana. Aise lakshan agar kam se kam 2 hafte tak lagaatar rehne lage to isse sirf udaasi nahi balki ek disorder kehte hai, jiska naam hai Depression.
Anxiety disorder ke lakshan me sabse common hai ghabrahat ya baichaini. Mann me chinta ke vichaar ya kuch gadbad na ho jaaye aisi feeling bhi anxiety disorder me hoti hai. Anxiety disorder me kuch shaarerik lakshan bhi hote hai jaise dil ki dhadkan tez hona, zada paseen aana, haath –pair kaapna, sir me bhaaripan ya jakdan mehsoos hona aur gala sookhna.
Anxiety aur Depression se alag , Psychiatry me kuch aur gambheer bimaariyan bhi hoti hain jaise Schizophrenia, Bipolar disorder etc.
Schizophrenia ke lakshan ki baat ki jaaye to usme mukhya symptoms ko delusions aur hallucinations kaha jaata hai . Iss bimaari me log shak-vaham karte hain, unhe negative vichaar aate hain, apne aap me badbadaana ya apne aap me hasna, kaano me kuch aisa sunaai dena ya kuch dikhaai dena jo doosro ko na sunaai de raha ho aur na dikhaai de raha ho.
Bipolar disorder ke lakshan ke roop me 2 alag tarah ke symptoms dikhaai dete hain. Ek phase ko Mania kehte hain jisme saari cheezein zada hoti hain jaise energy zada feel hona, zarurat se zada exited hona , zada gussa karna, zada bolna, zada chidchidapan, zada kaam karna, neend ki zarurat na lagna. Doosre phase ko Depression kehte hain jisme saare lakshan low feeling ke hote hain.
Mansik bimaariya bhi kuch tarah se shaarerik bimaariyo ki tarah he hoti hai, jinka samay se diagnose hona aur treatment lena zaruri hai. Mansik bimari ke ilaaj ke liye aap professional help zaroor lein.

Website- https://www.renowacare.com
Email- tripathipraveen1986@gmail.com
Facebook page: https://www.facebook.com/DrPraveenTripathiPsy
Instagram: https://www.instagram.com/drpraveentripathipsy
Twitter: https://twitter.com/drpraveenpsy
#mentalhealthawareness #anxiety #panicdisorder #drpraveentripathi
#depressioninhindi #anxietyinhindi #depressionandanxiety

18 Comments

  1. मन भ्रमित दिमाग़ चक्रित
    पगला दिल धमाल
    भ्रम का मायाजाल ग़लत फहमी कमाल
    पल हर पल मन में घर करते गंदे विचार
    एक पल में आवत लाख विचार
    मन भटक सटक दुनियां से नफरत हर बार
    जो बतावे इसको इलाज वो खुद भटक बाज़ार
    दस जगह ध्यानो बाटा, दुनिया से ध्यान काटा
    आत्म केंद्रित मन विकेंद्रित
    हाथ पाव हिलाई भटका मन लख विचार अपच कब्ज दूषित खानपान
    तनाव चिन्ता टेढ़ी रीढ़ अधूरी नींद ही
    इस बीमारी का कारण बार बार
    जो भी पड़त ये कविता वो जानो इसका इलाज
    एक साथ एक काम कर एकसमय एक काम कर
    पुरी नींद ले हर रात जादू टोना अंधविश्वास का त्यागकर , खुद कमाकर परिवार तुच्छ रास्ते त्यागकर दूषित खानपान छोड़कर, नित्य स्नानकर, उत्सर्जन और त्यागकर , बुरे विचार याद लोगो संगत चिन्ता त्यागकर, आलस कामचोरी ज्यादा सोचना त्यागकर
    खुद पर कर एतबार डर का मायाजाल तोड़ मजे ले दिलदार
    एक समय एक विचार कर रह सदैव सावधान
    चुप शांत रह मस्त रह ठीक सुरक्षित रह हर बार

  2. ट्रीटमेंट लेते हुए भी बीमारियां खत्म नहीं हो रही है सर

  3. Doctor in erotomania person suffering from it only loves some public figure or famous or higher position person?
    Or it can be anyone like someone we met for short time normal person?

Leave A Reply